New Seaman Service Book SSB banwanay kay liye shipping office se exam aur documentation mukammal karnay kay baad aapko Govt. Shipping Office ke online portal me form jama karwana hoga. Govt shipping office ke online portal pe New Seaman Service Book SSB ke liye kese kaam karna hota hai, ye aaj ham seekhengay. Nechay diye gaye tareekay ko follow karein, agar koi masla aaraha ho to nechay comments section me mujhay likhein yaa contact page se rabta karein.
Shipping Office ke ONLINE PORTAL pe kaam karwanay ya documents ke kisi aur maslay kay solution ke liye Whatsapp pe rabta karein. Contact Link.
Shipping Office Online Portal For New SSB
- Sabse pehleGovt. Shipping Office ke online portal pe aajaein. (Link). Register pe click kar ke apnay aapko Register karlein.
- Registration mukammal honay ke baad "Sign in" karein aur apna account khool lein.
- Sedhay hath ki side pe profile pe click karein aur apni profile mukammal fill karein. Education work experience wagera sab fill karein aur profile mukammal karein.
- Left side pe "Generate Request" pe click karein. Form ko fill karein. Subject wali jaga "NEW SSB" ko select kar ke request submit kardein.
- Left side se "Request Register" pe click kar ke aony documents ko upload karlein.
- Request Register pe dobara click karein, "Generate Voucher" pe click kar ke fee voucher ko download karlein. Fee voucher ko print kar ke state bank of Pakistan me fee jama karwanay ke baad, paid voucher ko scan kar ke attach karlein.
- Voucher upload karnay ke baad Request ko Finalized karlein. Apki New SSB ke liye online reuqest mukammal hogai.
- Online request finalize karnay ke baad, voucher payment karnay ke baad, in vouchers ko Shipping Office me submit karwadein.
- Submission ke baad apko 15 din ka time milega. Apki new SSB ajaegi.
Is process me koi masla ho to aap mujhse nechay diye gaye comment section me rabta karein, me madad karny ki zaroor koshish karunga.