Assalamualaikum. Jese ham sab jante hein ke samandar me baray baray samandari jahaaz chalte hein jo mukhtalif companies ke hote hein. Un jahazo me kaam karne ke liye her tarhaa ka worker mojud hota hai. Samandari jahaz me kaam karnay ke lie hamein government se documents bananay perte hein. Un documents me sab se ehem seaman service book hoti hai. Agar aap bhi samandari jahaz me job karna chahty ho to aapko new seaman service book banwani hogi. Aaj ham baat karengay ke ham pakistani seaman service book kese bana saktay hein.
Shipping Office ke ONLINE PORTAL pe kaam karwanay ya documents ke kisi aur maslay kay solution ke liye Whatsapp pe rabta karein. Contact Link.
Read: Seaman ID card kese banaye?
SSB Bananay Ka Asaan Tareeka.
Yaha ham baat karengay electrician ki SSB bananay ki. Ye tareeka electrician ke kaam ke lie SSB bananay ka hai. Is tareekay se aap electrician ki SSB bana saktay ho. Documents and exams ki tayari ke lie links sabse aakhir me mojood hein. Is tareekay ko step by step follow karte jao.
- Sabse pehlay Karachi Kemari me mojood "Marine Mercantile Department" chalay jao. Wahaan se aap SSB bananay ke lie documents ki list pooch lein. Wo documents jama kar ke 1 file me submit karwa dein.
- Documents jama karwany ke baad aapko "EYE TEST" ki date di jae gi. Us date per MMD ajaein aur eye test ko pass karein.
- Eye test ke baad aapka electrician ka exam hoga. Electrician ke exam ki tayari nechay walay link se karein aur test ko pass karein.
- Exam pass karnay ke baad aapko certificate diya jaega. Wo certificate le kar aap Karaachi tower ke qareeb KDL building me ajana hai.
- KDL building me pehle floor me sir imdad ke pass chale jaein aur new SSB ka application form le lein.
- Saray documents ke sath wo form jama karwa dein. Documents check karny ke baad aap ko ek haftay ke baad "NOC" mil jaega. NOC ka matlab hai ke us application form pe shipping office ke director ke signature hojae gay, aur aapki new SSB ke lie aapke documents verify hojaengay. Matlab aapko ijazat mil jaegi.
- Is process ke baad aapko "Shipping office ka online portal" register karwana hai aur online process karwana hai. Online process ki details yaha mojood hain.
- Online portal shipping office pe kaam mukammal karnay ke baad fee voucher shipping office me jama karwadein, aapko 15 days ka time mil jaega.
- 15 Days baad aapki SSB shipping office me ajaegi. Ap jaeingay office to wo apkay thumb aur signature lelengay. Apko 1 week bad SSB dedengay.
Is poray process me koi bhi masla ho to mujhse rabta karlein aap.
SSB SID bananay ki mukammal process ki video dekhein.
NEW SSB KE LIYE LINKS