Agar aap New
Seaman Service Book SSB banwana chah rahy hein aur shipping profession join
karna chah rahy hein to New Seaman Service Book SSB ke liye kuch documents ki
zarurat hoti hai. Ye documents ki list aapko MMD Karachi office se bhi mil jati
hai. Lekin jo sabse basic documents hote hein wo hein matric ki marksheet aur
matric ka certificate. Ye matric marksheet aur matric certificate aapko matric
board office se verify aur attest bhi karwana hota hai. Matric ki marksheet aur
matric ka certificate aap board office se bohut asani se verify karwa saktay
hein. Attestation aur verification ka process nechay mojood hai.
VERIFICATION
OF MATRIC MARKSHEET
Matric
marksheet ki verification ka process bohut asaan hota hai. Me aapko suggest
karta hu ke aap ye process note karlein aur bagair kisi agent ke, aap khud
board office se apni matric marksheet ko verify karwaye.
- Karachi me
mojood Matric board office challe jaein. Main building block “A” me 3-4 windows
hein, waha se aap marksheet verification form le lein jo ke FREE hai.
- Form ko fill
karein, apnay aur father kay CNIC ki photocopies attached karein.
- Form aur
photocopies ko usi window me le jaein, wo aapse puchega normal chahie ya
urgent, normal ki fee 400 hai aur urgent ki fee 600, apny waqt ke mutabiq batadein,
wo fee apke form ke upar likh dega.
- Phir form le
kar cash counter chale jaein. Waha form dikhaein, aur fee pay kardein.
- Payment slip
aur form usi purani wali window me jama karwa dein. Apko kuch days baad isi
window se marksheet mil jaegi verified wali.
VERIFICATION
OF MATRIC CERTIFICATE
Matric ka
certificate verify karwany ke liye Karachi me mojood matric board office khud
chale jaein. Tareeka nechay mojood hai aur bohut asaan hai.
- Matric board
office chale jaein. Jese hi main gate se andar dakhil hongay ap, to seedhay
hath me last wali building (Block B) me dakhil hojaein.
- Room number
22 me jaeing, aur certificate verification form le lein.
- Form ko fill
karein, apny CNIC ki 2 photocopies aur 02 certificate ki photocopies karwa
lein. (certificate dono side se karwani zaruri hai).
- Form aur
documents usi room me check karwalein. Wo apke form ke uppar fee likh dega.
(Normal 400 (15 days), Urgent 600 (7 days)).
- Cash counter
me ja kar payment kardein aur pay slip ke sath form room number 22 me hi jama
karwa dein.
- Jab apka
waqt ajae, to isi room 22 se aakar aap verified certificate receive karlein.