✅ Karachi Mein Naya Passport Banwane Ka Asaan Tariqa – Step by Step Guide 2025
Kya aap Pakistan mein naya passport banwane jaa rahe hain? Aur aap chahte hain ke aapko puri details milein step by step? Toh aap bilkul sahi jagah par hain! ๐
Iss blog mein aapko milay ga complete 2025 ka updated passport banwane ka tareeqa, video tutorial ke sath! Bohat se log confused hotay hain ke passport office kya documents mangta hai, fees kitni hai, aur process kaisa hai, especially agar aap student hain. Toh maine socha sab kuch clear aur Roman Urdu mein likh doon taake har banda asaani se samajh sake.
Agar help mile toh ek “Thanks” niche comments mein likhna na bhoolna! ๐
๐ Passport Banwane Ka Waqt – Karachi Mein
Agar aapke saath complete documents hain, toh passport form submit karne ka process sirf 30 minutes ka hai. Lekin agar koi cheez missing ho toh aapko dobara ana par sakta hai.
✅ Normal Passport: 10 din mein milta hai (confirmed)
✅ Urgent Passport: 4-5 din mein milta hai
๐งพ Required Documents for New Passport – Students ke liye khas tor par
✅ Yeh documents ready rakhain:
✅ Apna original CNIC + 1 photocopy
✅ Father aur Mother ka CNIC (original + 1 photocopy)
✅ Taleemi sanad (original + photocopy) – last degree (Matric/Inter)
✅ Birth certificate ka photocopy + original
✅ Parents ka passport (agar hai) warna sirf CNIC copy chalegi
✅ Tasveer ki zarurat nahi – passport office mein photo lete hain
๐ชช Step by Step Passport Banwane Ka Tareeqa – Karachi Mein
Yahan hai full process point-wise:
-
Passport Office mein entry karein – main gate se andar jaa kar checking ke baad left side par bank counters hain. Pehle counter se form lein (Free milta hai).
-
Form fill karein – right side par ek information section hota hai, wahan jakar form fill karein. Pens available hoti hain.
-
Form fill karne ke baad apne area ka section dhoondein – South, East, West, North. (Board laga hota hai)
-
Apne section mein jaa kar sabse pehle photo capture hoti hai
-
Phir fingerprints, personal details verify, aur aapko ek printout diya jata hai
-
Wahan se aapko poochha jata hai:
✅ Parents ki CNIC copy
✅ Educational document
✅ Birth certificate
✅ Originals bhi dikhani parti hain
-
Sab kuch complete hone ke baad aapko Assistant Director ke room mein bheja jata hai jahan aap final form submit karte hain
-
Wahan se aapko milta hai:
✅ Token Slip
✅ Bank Slip
-
Jab passport ready hota hai, aapko SMS milta hai ke passport collect kar lein
-
Original CNIC, token aur bank slip le kar receiving section mein jaayein aur naya passport hasil karein
๐ง Extra Tips:
✅ Subah jaldi jaayein – bheer se bachne ke liye
✅ Har document ki
2-2 copies le kar jaayein – safe side ke liye
✅ Agar student hain toh educational proof zarur le jaayein