Pakistan Se Merchant Navy Documents Banwane Ka Mukammal Tareeqa (SSB aur SID)
Agar aap ship par kaam karna chahte hain ya merchant navy join karna ka irada rakhte hain, to aap ke paas do zaroori documents hone chahiye: Seaman Service Book (SSB) aur Seaman ID Card (SID). Yeh dono documents hukoomat Pakistan se issue hote hain aur yeh ek seaman ki pehchan hote hain bilkul passport ki tarah.
Yeh documents sirf Karachi ke relevant govt office se banwaye ja sakte hain. Neeche diye gaye links mein aapko August 2022 tak ka updated procedure aur requirements mil jayengi. In links ko follow karein taake aapka process asaani se mukammal ho sake. Zyada tafseel ke liye aap YouTube par "Seaman Mohsin" ka channel bhi dekh sakte hain.
Note: Yeh post sirf information ke liye hai. Official updates ke liye hamesha authorized sources check karein.
Seaman Service Book (SSB) aur Seaman ID Card (SID) Banwane Ki Minimum Requirements -Pakistan
Agar aap Seaman Service Book (SSB) aur Seaman ID Card (SID) banwana chahte hain, to neeche di gayi basic requirements ka pura hona zaroori hai:
✅ Age Limit: Minimum 18 saal aur maximum 25 saal tak
✅ Taleemi Qualification: Kam az kam Matric (10th class pass)
✅ Medical Fitness: Applicant ko medically fit hona chahiye
✅ Nationality Documents: Valid CNIC aur Passport ka hona zaroori hai
Yeh basic eligibility criteria hain jo Pakistan mein kisi bhi shakhsh ke liye mandatory hain agar wo merchant navy ya shipping industry ka hissa banna chahta hai.
CDC SSB Banwany ka Mukammal Tareeqa:
Seaman Digital ID Card Banwany ka Mukammal Tareeqa:
Govt. Shipping Office Portal Use Karne Ka Mukammal Tareeqa:
Karachi se Passport Banwane Ka Mukammal Tareeqa: