These are the lessons that I think I learned too late, you should learn before getting late. These lessons will help you in your life. Lessons are;
1- Chahay aap sahi raste per chal rahay ho, agar ap raste me
bethe to pechay reh jaogay.
2- Apny ghar se jana aur bahifazat wapis ajana ek nemat hai.
3- Jis din aap beech lagate ho, to usi din aapko phal nahi milta.
4- Aap jinke liye ghamgeen hain, wo dosro ke sath khush hain.
5- Aap pareshaan q ho, is bat ko batanay se zada asaan hai ke aap bas muskura
dein.
6- Zindagi apke khayal se ziada asaan hai lekin mushkil tab hoti hai jab aap
sochte hein.
7- Perfect banda koi bhi nahi hai. To ap bhi khudko perfect naa samjhein.
8- Ahista ahista taraqqi karna bhi, tarraqi karna hi hota hai.
9- Past aur future ka soch soch kar apny present ko barbaad nai
karein.
10- Jab aap mushkil halaat me hote ho, to apko apny dosto ke real chehre nazar
aengay. Jo aese mokay pe apki madad karta hai to uski tareef zarur kare.
11- Nahi kehna seekhlo. Ye sharam khatam kardo apny ap me.
12- Dosre log jo kuch kehte hein usay sunna aur tawajja dena seekhlo. Q k har
koi kuch na kuch sikhata hi hai.
13- Bohut ehem baat, apnay apko dosro ke sath compare nai karo.
14- Zindagi me koi cheez bhi fix nai hai. Yani zaruri nai aapny matric 16 me
karni hai ya shadi 25 me. Zindagi koi race nai hai, agar 1 larka graduation 25me karta hai to ap 30 me bhi karsakte ho. Relax raho.