Electrolysis (Urdu Hindi) is process ko kehte hein jis me ham battery me chemical reaction karwanay ke liye electrical current ko ionic solution se guzarwatay hein. Is process ko electrolysis kehte hein.
Electrolysis Kese Kartay Hein?
Electrolysis (Urdu Hindi) karwanay kay liye ham electrical current ko battery ki dono terminal pe supply kartay hein. Dono terminal se "Electrode" attacked hoti hein, Ye electrodes chemical walay pani me hoti hein. In me current supply karnay se chemical reaction start hojata hai. Electrolysis ka process is liye kiya jata hai jab battery kay cells ko recharged karna hota hai. (Battery ko charging karnay ke process ko electrolysis kaha jata hai simple words me).
Faraday Law Hindi Urdu
Faraday Law (Hindi Urdu) ne electrolysis ke process per do qanoon bataye. Faraday ke laws hindi urdu me nechay points me wazeh hein.
- Faraday ka pehla qanoon kehta hai ke Battery ke andar "Electrode me jitnay ziada ions hote hein, Utni ziada electricity convert hoti hai".
- Faraday ka dosra qanoon kehta hai ke "alag alag substances ke ions jo same electricity ki quantity se azaad hote hein, wo proportional hote hein chemical ki miqdaar ke." AC Current agar supply karengay battery ko charging ke liye to wo chemical me koi chenges ni karega. (Yani battery ko charge ni karega, kyu ke uskay ions alag hote hein).