Is post me haam baat karengay Battery Ke Primary And Secondary battery (Urdu Hindi) ke baray me. Jesa ke hameiin malooom hai ke battery me do type ke cells hote hein. Ek primary aur dosra secondary. Ab ham jaan lete hein ke primary kon se hote hain aur kese work karte hein, aur isi tarha secondary bhi konse hote hein aur kese work karte hein.
Primary Batteries Kiya Hoti Hein?
Primary batteries wo hoti hein jinhein ham recharge ni karte. Jese ke chotay 1.5 volts walay cell. Jo ek bar charge hote hein. Khatam hojaye to wo recharge ni hote. Unki jaga new cell istemal hota hai. Zinc carbon battery, lithuim battery wagera bi primary battery hoti hein. Ye bi recharge ni hoti.
Secondary Battery Kiya Hoti Hein?
Secondary battery recharge hoti hain. Jis battery pe ham lighting wagera istemal karte hein, aur phir battery khatam hojae to ham recharge kar ke dobara istemal karlete hein, aesi battery ko secondary battery kehte hein. In batteries ke andar chemimcal reaction "reversable" hota hai. Matlab ke chemical reaction ke baad dobara current supply shuru hojata hai.