Electricity generation ka behtareen aur ziada chalnay wala portable tareeka batteries hein. Batter takreeban har company me istemal hoti hai. Is article me ham batteries ki maintenance ko Urdu Hindi me seekhengay, wo bhi details me. Is article "Battery Maintenance Complete Details Hindi Urdu" me ham battery ki maintenance ki details samjhengay. Is article me ham in topics ko details me samjhengay;
- "Electrolytic Solution" theory ki details.
- Battery ki basics details. (Nechay Mojood hai)
- Secondary cells kese kaam karte hein?
- Factors that affect the performance of batteries.
- Battery kay components aur unki workings.
- Battery ki capacity rating.
- Efficiency ka concept.
Ship Mein Battery Kese Istemaal Hoti Hai?
Her small ship me 12 volts ki 2 electrical supplies hoti hein. Ek 12 volts ki battery se electrical generator ON karwaya jata hai. Aur dosri 12 volts battery se lights wagera ko electricity di jati hai. Batteries ko diesel engine kay Dynamo se charge kiya jata hai. American jahazoo ke liye 110 Volts supply hoti hai. Charging ke current ko "Diode" ke zariye guzara jata hai. Is tarha is liye kiya jata hai taa kay current sirf agay ki taraf chalay, pechay dosri battery ki taraf naa aye.
Is ki bunyadi waja ye hoti hai ke "Starting Battery" lights wagera ke load ki waja se discharge nahi hoti. Kyu ke is battery pe koi load ni diaya jata. Ye sirf generator ko start karti hai. Aur ye starting battery Dynamo se charge bhi hoti rehti hai. Kisi ships me solar panel ya wind dynamo ko bhi batteries ki charging ke lie istemal kia jata hai.
Tugs (small ships) battery packs ko emergency supply ke liye istemal karte hein. Jab electric supply ka blackout hota hai to battery supply se lights ko ON kia jata hai.
Battery Ke Components aur Working
Battery ki construction bohut asaan hoti hai. Battery ke kuch main components hote hein. Battery ke components aur components ki details ye hein,
- Battery Case: Ye batter ka outer structure hota hai. Battery ke tamam components is ke andar hote hein. Ye hard rubber, plastic ya baki ksi aur material ka bana hota hai.
- Plates: Battery me do kisam ki plates hoti hain, positive aur negative. Ye plates electrolytes ke darmiyaan hoti hein.
- Separators: Current ki Shortining se bachnay ke liye plates ke darmiyaan separators lagaye jatay hein. Ta ke current milnay se short na hojaye plates.
- Cells: Ek Positive aur Ek negative plate mil kar ek cell banta hai. Battery me her ek cell 2.1 volts bananay ka qabil hota hai. Zada tar 12 volts ki battery me 6 cells series me connected hote hein.
- Electrolytes: Battery case "electrolyte solution" se bhara huwa hota hai. Ye solution "Sulpheric acid aur water ka mix hota hai. Jab chemical reaction hota hai to active material me voltage produce hota hai.
- Vent Caps: Vent caps battery case ke top pe hota hai. Vent caps ka kaam battery ke andar se hydrogen gas ko bahar nikaalna hota hai. Jab batter ko recharge kia jata hai to chemimcal reaction ki waja se gas generate hota hai.
- Terminal Posts: Battery ke andar cells hote hein, her cell ke do terminal hote hein. Positive wala battery ke positive pe connect hota hai aur negative wala battery ke negative pe connect hota hai. Terminal posts positive aur negative terminals hote hein jo battery se baahr niklay huwe hote hein.
Battery Capacity aur Ratings
Battery capacity ka matlab ye hai ke battery jab full charged hoti hai to wo kitni electrical energy supply kar sakti hai. Ye battery ke size pe depend karta hai, aur battery me kitnni plates lagi hui hein, electrolytes ki volume kitni hai wagera wagera.
Ampere-hour (Ah) rating battery ke ampere batati hai. Kay ek battery 20 hours me, 80 degree temperature me, itnay ampere ke load ko 10 volts tak chala sakti hai. DOSRAY LAFZO ME YE HAI "ke 12 volts ki battery, jo 100 amp-hour rating ki hai, wo 5 amp 20 hours ke lie deta rahega jab tak battery kay voltage 10 volts na hojaein.
Battery Efficiency
Battery ki efficiency bohut kam hoti hai jab temperature kam hota hai. Jesa ke sardiyoo me Battery ki efficiency 40% kam hojati hai.