Is post me ham Battery Performance & Maintenance (Urdu Hindi) ko details me samjhengay. Ship me mojood batteries ki maintenance bohut zaruri hoti hai. Battery ki maintenance naa ho to battery ki performance kam hoti jati hai aur end me battery dead hojati hai. Har battery ki ek makhsus life hoti hai lekin kuch ase factors hote hein jin ki waja se battery ki life kam hojati hai. Kuch aese factors jin se battery ki life kam hojati hai wo nechay diye gaye hein jin ka janna ek ship electrician ke liye zaruri hai.
- Plate Area: Jab sulphation covers ka ziada area plates ne ghera ho, to charging thekse ni hoti. Is liye small plates zada jaldi charge hoti hein, aur big plates der se charge hoti hein. Aur big plates se battery ki life bi kam hojati hai.
- Impurities: Impurities matlab dust wagera agar electrolyte me hoo to charging me masla hota hai aur battery life me fark aata hai.
- Electrolyte Level: Electrolyte ka level low hota hai to chemical reaction thek se ni ho pata. Electrolyte level kam aksar battery me leakage, ya poor maintenance ki waja se hoti hai.
- State of Charge: Agar battery bilkul discharge ho jaye, to battery ke andar sulphate me crystals jama hojate hein. Phir battery ko high rate current supply se charge karna hota hai. In crystals ki waja se bhi battery ki life khatam hoti hai.
- Overcharging: Overcharging ki waja se battery ke andar chemical reaction se gas peda hojati hai. Gass aur heat peda honay ki waja se battery ke andar plates kharab hoti jati hein.
- Undercharging: Jab charging system me masla hota hai to wo charging system battery ko sahi se charge ni karta. Is ki waja se plate ke upar sulphate remove ni hota, is tarha se plates kharab hojati hein.
Battery Ki Maintenance Kese Karein?
Battery ki maintenance karna bohut zaruri hota hai. Nechay step by step tareeka hai battery ki maintenance ka. Battery ka khayal rakhnay se battery ki life achi rahegi.
- Battery ko hamesha achi hawadaar area me rakhein. Ya charging ki jaga hawa wali ho.
- Charger wohi istemal karein jo battery ko charge karnay ke lie design hoo.
- Battery ko direct sunlight mein, ya hot place me naa rakhein.
Battery Charger Ki Troubleshooting Ka Tareeka.
Nechay wali video me Battery Charger Ki Troubleshooting Ka Tareeka mojood hai.