Kisi bhi electrical wire se current guzarata howa kabhi bhi nazar nahi aata. Is liye ye mushkil hota hai ke kis wire aur electrical system me safety karein aur kaha ni karni. Ships me, electrical ki hazaro wires aur systems lagay hote hein. In electrical systems me se kafi systems open air ke hote hein. Ships me kyuke samandar ka paani, nami, namkeen hawa, nami wali hawa wagera mamoool hota hai, is lie open air me electrical system ka short honay ka khatra zada hota hai.
Electrical ki safety ka kaam ship me mojood electrician ka hota hai. Agar electrical ki safety ka khayal na rakha gaya to kafi khatarnaak accident honay ka khatra hojata hai. Ye accident agar bara ho to ship ko tabah karnay ke liye kafi hota hai. Isi liye ship electrician ek kafi ehem zimedari wala kaam hota hai. Is post me ham electrical short, shock ko kam karnay ke lie safety ke tareeko ke baray me parhengay.
Har ship ka ek planned maintenance system hota hai. Electrical system ki maintenance ship me mojood electrician ki zimedari hoti hai.
Ship Me High Voltage System Kiya Hota Hai?
1KV se ziada voltage ko high voltage kehte hein. Aur 1kv se kam voltage ko low voltage kehte hein. Ships me aaj kal high voltage production bohut zada hoti ja rahi hai. Ab is high voltage (HV) system ki safety ka khayal rakhna bohut zaruri hota hai. Is HV system ke earthing bohut zaruri hoti hai. Is HV system ki earthing ke baad her electrical system ko bi earth karna zaruri hai.
A.C Shock Ya D.C Shock?
First Aid of Electrical Shock
Nechay di gai video me electrical shock lagnay ki surat me first aid kese karna hai, wo dikhaya gaya hai. video zaroor dekhein.