Electrical circuit do tarha ke hote hein, ek series aur dosra parallel circuit. Dosto aj ham is post me bat karengay ke Series aur Parallel Circuit Kia Hote Hein? Ek ship electrician ke lie bohut zaruri hai ke electrical circuit me kam karnay se pehle usay pata hona chahiye ke series aur parallel circuit kiya hote hein. To dsoto shuru karte hein series parallel circuit ko parhna.
Series Circuit Kiya Hota hai?
Electrical ka wo circuit jis me electrical components series se connect hote hein usay series circuit kehte hein. Series se connect ka matlab ye hota hai ke sab components me current kay guzarnay ka 1 hi rasta hota hai. Series circuit me, current same rehta hai aur voltage change hote hein. Nechay di gai video me samjhaya gaya hai.
Parallel Circuit Kiya hota hai?
Parallel circuit wo circuit hota hai jis me current dono side se flow karta hai. nechay di gai video me parallel circuit ke baray me sahi se samjhaya gaya hai.