Simple electrical circuit to Ohm's law se solve hojata hai, lekin complex electrical circuit jese ziada branches wala circuit, ya zada power sources walay circuit ko ohm's law se solve ni kia ja sakta. To is situation me ham ohms law ke bajaye, Kirchhoff law istemal karte hein. Kirchhoff's Law 2 type ke hote hein.
- Kirchhoff's Current Law.
- Kirchhoff's Voltage Law.
Kirchhoff's Current Law Kiya Hota hai?
Kirchhoff's Current Law ko Kirchhoff point rule bi kaha jata hai. Nechay mojood video zaroor dekh lein ta ke ye law achay se samjh aajaye. Kirchhoff's Current Law ki statement ye hai ke,
"Aesa electrical circuit jis me capacitor naa ho, aese circuit ke kisi bi point me, total current jitna aaraha hota hai, utnaa hi us point se jaa raha hota hai."
Matlab ye ke kisi bi point me, current ka algebric sum same hota hai circuit ke baki current ke.
Kirchhoff's Voltage Law Kiya Hota hai?
Kirchhoff's Voltage Law kehta hai ke "kisi bhi close circuit me jitna voltage aaraha hai, utnaa us circuit se wapis ja raha hai."