DC (Direct Current) DC generator se, batteries se, solar cells wagera se milta hai. DC power hamein AC power se bhi mil sakti hai jab ham AC power ko rectify karlein. Ziada tar electronics deviec DC power pe operate hoti hein. Jesa ke ham parh chuke hein ke DC power electronics schemes me istemal hota hai. Ships me ziada tar DC power hamein AC power se hi rectificattion ke baad milta hai. Ship me general alarm ko jo DC power supply jati hai wo 24v hoti hai normally.
DC distribution panels ko is tarha se design kiya jata hai ke wo overcurrent se hifazat, aur DC ki alag alag supply ko ek tarteeb se chalata hai. DC power panel ki designing bohut tarteeb se hoti hai. DC panel ko is tarha se design kia jata hai ke 2 charger supply connect hoti hein 2 battery set se. DC panel me ek busbar coupler mukammal interlocking ke sath mojood hota hai jo har azaad DC system ko chalata hai. Charger aur battery DC panel ki load bus se connect hoti hai, jo ke proper MCCB se guzari hui hoti hai. Is DC panel me ek interlocking arrangement padlock aur keys ke sath hoti hein jo breaker ko band karne ka kaam karti hein.
Ship Electrical System Ka Layout
Ship me electrical system ka layout is tarha ka hota hai. Ship me Electrical power ki 4 sources hoti hein.
- Main alternator.
- Emergency generator.
- Emergency batteries.
- Shore power.
Ship me electrical distribution system ka sabse ehem element "Main aur Emergency Switchboard, motor controller aur power panel " hota hai. In ke elawa baki element generators, fused isolator wagera hote hein. Electrical ka sara system ship me drawed hota hai. Iska matlab ye hai ke normal running condition me electrical power main panel se distribute hota hai pori ship me. Ye main electrical panel main engine room me hota hai. Ship me electrical ka essential load kuch is tarha se hota hai jese nechay given diagram hai.