Seaman Service Book SSB banana ke liye jab aap apni
documents file “Marine Mercantile Department MMD Karachi” me jama karwa dengay
to waha se aapko ek haftay ka waqt milega. Ek haftay baad aapka “Eye Test”
hoga. Jab aap “Eye Test” ke liye “Marine Mercantile Department MMD Karachi”
pohunchengay to waha bohut saray log mojood hongay jo “Eye Test” ke liye ae hongay.
Shipping Office ke ONLINE PORTAL pe kaam karwanay ya documents ke kisi aur maslay kay solution ke liye Whatsapp pe rabta karein. Contact Link.
- “Marine Mercantile Department MMD Karachi” me “Eye Test”
apny time per shuru kardiya jaega. Sabki line banadi jaegi aur eke k kar ke sabka
Eye Test kiya jaega. Eye Test “Marine Mercantile Department MMD Karachi” me
kuch is tarha se hoga,
- Line se sabko bulaya jaega. Jab apka number aega to
takreeban 10 meter dur dewaar per ek parcha laga hua hoga. Us parchay me “bari
choti ABCD” likhi hogi.
- Parchay wali dewaar se 10 meter dur kharay hokar aapse kaha
jaega ke parchay me jo likha huwa hai wo parh kar sunao. Examiner aapse
puchega, to aapko parh kar sunana hoga.
- Ye first step hoga test ka. Iske baad aapko andar office me
bhej dia jaega. Office me 2 kitaabein hongi. Dono me alag alag colors ki design
hongay.
- Apki EYE TEST me color test dekha jaega. Apse alag alag
design ke color dikha kar pucha jaega ye konsa color hai.
- Ye last step hoga. Ye clear honay ke baad aapko wapis bhej
diya jaega. Phir agar aapka SSB ke liye EYE TEST pass hoga to apko exam ke liye
date di jaega.
Process bohut asaan hota hai. Apko apnay original CNIC ke
sath jana hoga. Agar original CNIC le kar nahi jaogay to aapka test ni liya
jaega. Seaman Service Book SSB ke liye pehla step EYE TEST hi hota hai. Ye EYE
TEST pass honay ke baad hi aapko exam me bithaya jata hai. Agar EYE TEST clear
nahi hoga to exam me nahi beth sakogay.